Punjab And Sind Bank ATM Apply / Debit Card Apply Kaise Kare? (2024)

By Team EMB 2 Comments

Punjab And Sind Bank ATM Apply / Debit Card Apply Kaise Kare? (1)

Dosto, Panjab & Sind Bank kai tarah ke financial services and banking services provide karti hai. In banking, financial services ka benefit lene ke liye hame is bank me account khulwana padta hai. Isi karan se bahut sare logon ne is bank me apna bank account khulwa rakha hai. Inke banking services me se ek product Punjab and Sind bank ATM Card bhi hai. Iska use karke hum bahut sare transactions jaise – POS transaction, ATM transaction, online transaction…. etc kahi se bhi kar sakte hai, Jo hamare banking ko aasaan banata hai.

Hame lagta hai ki aap bhi PSB ke customer hai. Kya abhi tak aapke paas – punjab and sind bank ATM card nahi hai? ya Purana PSB debit card expire ya block ho gaya hai? is tarah ke kisi bhi condition me aapko apne liye Punjab and sind bank atm apply karna padega. Iske baad ek new card aapko mil jayega.

Inhe Bhi Jaane:-

Sayad aap soch rahe hai ki PSB ATM card ke liye application karna muskil wala kaam hai. Lekin ham is post me is kaam ko aasaan tarike se karne ka complete process batane jaa rahe hai.

Punjab And Sind Bank ATM Card Apply Karne Ke Tarike

Agar aapke paas PSB bank account hai to card ke liye aap 2 tarah se request kar sakte hai.

  1. Branch se Punjab and sind bank debit card application karna.
  2. Online punjab and sind bank atm card apply karna.

Dosto, ye dono hi tarike simple hai. Lekin online ATM apply karne ke liye aapke paas PSB net banking & PSB mobile banking hona must hai. Chuki sabhi ke paas ye services nahi hote hai, Isliye is post me ham branch wala tarika ka pura jankari dene ja rahe hai.

Agar aapke paas punjab and sind bank net banking ya mobile banking hai aur iska online process janna chahte hai to comment box me jarur bataiye.

Offline yani Branch se atm card apply karne ka process bhi bahut simple hai. Iske liye aap apne PSB branch me chale jaye. Waha jaane ke baad PSB employees ko aap punjab and sind bank ATM card application form mang lijye.

  • Wrong PIN Se Blocked Hue ATM Card Ko Unblock / Restart Kaise Kare?

Is ATM card application form ko fillup karna sabse bada task rahta hai. Isliye is form ko bharne ka sahi tarika hum neeche batane ja rahe hai.

Punjab And Sind Bank ATM Card Application Form Fillup Process

Is application form ko aap neeche ke photo me dekh sakte hai aur bharne ka process neeche padh sakte hai.

Punjab And Sind Bank ATM Apply / Debit Card Apply Kaise Kare? (2)

Sabse pahle aap apne PSB branch ka name uper left side me likh de.

  1. Ab aap apne according title ko tick karke apna full name “First Name, Middle Name and Surname” ke format me likh de.
  2. Aapko apne psb atm card me jo name print karwana hai usko 2 number ke boxes me likh de.
  3. Isme apna Date Of Birth “DDMMYYYY” ke format me likh de.
  4. Iske baad Agar aapke PSB bank account me Residential Address diya hua hai to usko likh dijiye.
  5. Agar aapke account me office address diya hua hai to us office address ko likh dena hai.
  6. Apne PSB bank Branch ka name yaha likh de.
  7. Apne account ka type yani savings bank account ke liye “SB” and Current bank account ke liye “CD” likh de.
  8. Iske boxes me apne primary bank account ka number pura likh de.
  9. Agar aapke paas secondary account hai to uska “Type” likh de.
  10. Usi secondary account ka account number likh dena hai.
  11. Agar apna PAN Number / GIR Number likhna chahe to iske boxes me likh sakte hai. Ya fir isko blank bhi chhod sakte hai.
  12. Ab is form ke declaration ke neeche apna signature kar de. Agar aapka joint account hai to sabhi ka signature karwana hai.
  13. Iske neeche ke saare options bank use ke liye hota hai, isliye inko touch na kare.

Bas aapka punjab and sind bank ATM card registration / application form fillup complete ho gaya hai. Ab aap is form ko branch me jama kar sakte hai.

Aapke form ko submit karne ke 20-30 days Me aapka PSB atm card bankar aapke address me send kar diya jayega. Agar aapko 30 dino me bhi card na mile to branch me contact kar sakte hai. Kabhi-Kabhi card branch me aakar rakha hua rahta hai.

Jab aapko new punjab and sind bank atm card mil jaye to usko activate karke use karna start kar sakte hai. Ye bahut hi aasaan hota hai iski jankari ke liye neeche ke link par click kare.

PSB New ATM Card Ko Activate Kaise Kare? Sabse Aasaan Tarika

Ab aapko bhi punjab and sind bank Debit card apply karna aasaan lagne laga hoga. Hai Na? To ab is information ka istemal karne ka time aa gaya hai.

Agar isi tarah ka banking ko aasaan banane wale informative videos dekhna chahte hai to hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” ko Subscribe kar sakte hai. Saath hi is post ke baare me apna raay neeche comment box me de sakte hai. Dhanyawad.


Share And Help Others

No related posts.

Punjab And Sind Bank ATM Apply / Debit Card Apply Kaise Kare? (2024)
Top Articles
Latest Posts
Article information

Author: Fr. Dewey Fisher

Last Updated:

Views: 6025

Rating: 4.1 / 5 (42 voted)

Reviews: 81% of readers found this page helpful

Author information

Name: Fr. Dewey Fisher

Birthday: 1993-03-26

Address: 917 Hyun Views, Rogahnmouth, KY 91013-8827

Phone: +5938540192553

Job: Administration Developer

Hobby: Embroidery, Horseback riding, Juggling, Urban exploration, Skiing, Cycling, Handball

Introduction: My name is Fr. Dewey Fisher, I am a powerful, open, faithful, combative, spotless, faithful, fair person who loves writing and wants to share my knowledge and understanding with you.